Har pal
Har pal ka saath maanga tha,
Darr ne bhi tab mera haath thaama tha.
Pal bhar bhi chain na mila is dil ko,
Soch kar ki tumhari saanso se apni saanso ko bandha tha.
Zindagi ke iss safar me bas ik tumhara saath manga tha.
Beech safar me bhi toh
Saath chalne ka wada tha.....
Iss darr ne dil mein jageh banayi,
Ki kuch kadam
Hum peeche na reh jayein kahin...
Yun to ye safar na rukega
Haath tumhara saath na ho toh,
Par tumare saath ke bina, ye saanse hi na ruk jayein kahin...
Comments
Post a Comment